Aye Sabz Gumbad Wale Naat Lyrics

Aye Sabz Gumbad Wale Naat About

  • Naat – Aye Sabz Gumbad Wale
  • Naat Artist – Owais Raza Qadri
Aye sabz gumbad wale manzoor dua krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Ae noor e khuda aakar aankhon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab mein aa jana
Ay parda nasheen dil ke pardy mein raha krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Mein qabar andheri mein gharaon ga jab tanha
Imdad meri krny aa jana mere aqa
Mein qabar andheri mein gharaon ga jab tanha
Imdad meri krny aa jana mere aqa
Roshan meri turbat ko aye noor e khuda krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Mujrim hoon jaha bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana hun daman mein chupa lena
Mujrim hoon jaha bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana hun daman mein chupa lena
Maqbool yeh arz meri lillah han zra krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Chehre se Ziya payee in chand sitaron ne
Us dar se Shifa payee dukh dard ke Maron ne
Chehre se Ziya payee in chand sitaron ne
Us dar se Shifa payee dukh dard ke Maron ne
Ata hai unhen sabir har dukh ki dawa krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua krna
Jab waqt e naza aye deedar ata krna

Also Read: Shah e Madina Naat Lyrics in Urdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *